Jaane kis khoj main yahan tak aa gaye
Har rista bemani tha? Jisse hum chod aaye
Mud kar kya dekhe, un toote hue dhago ko
Jahan gum ki parchai khusiyon ko nigalti rahi
Hamne khabar bhi na hui aur zindagi badalti rahi
Badle waqt main ek nayi subh hog
iiss viswas par hum badhte rahe
Na jaane phir kyun, ye sanse tham rahi hai
hamare viswas par duniya hash rahi hai
Shayad......
Har andheron ko mitane de , wo chirag nahi hota
Jab dil toote ,to aawaz nahin hota
padne wale to ankhon ko padha karte hain
par har aankh main dard ka ahsas nahin hota
Jo bah jaye paani in ankhon se
to us pyaar ka ikraar nahin hota
Dhekho kahin ek jhankaar hui,
hamare dard se ek awaz uthi...
Thrik rahe hai kadam, ye kya aagaz hui!!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Wallah..kya Sher hai!
http://polishedcrap.wordpress.com/2009/07/10/beete-ehsaas/
Post a Comment