Sunday, 13 July 2008

Dhooti Hai Ankhen Meri !!!!!!!

Jaane kis khoj main yahan tak aa gaye
Har rista bemani tha? Jisse hum chod aaye
Mud kar kya dekhe, un toote hue dhago ko
Jahan gum ki parchai khusiyon ko nigalti rahi
Hamne khabar bhi na hui aur zindagi badalti rahi
Badle waqt main ek nayi subh hog
iiss viswas par hum badhte rahe
Na jaane phir kyun, ye sanse tham rahi hai
hamare viswas par duniya hash rahi hai


Shayad......
Har andheron ko mitane de , wo chirag nahi hota
Jab dil toote ,to aawaz nahin hota
padne wale to ankhon ko padha karte hain
par har aankh main dard ka ahsas nahin hota
Jo bah jaye paani in ankhon se
to us pyaar ka ikraar nahin hota
Dhekho kahin ek jhankaar hui,
hamare dard se ek awaz uthi...
Thrik rahe hai kadam, ye kya aagaz hui!!!

Dil Jude Bine hi toot gaye!!!!

har insaan ki yehi kahani , har soorat pe muskan hai khali
Jo nazroon ko padhne sikha, sirf aankhon main paani paya
khuli nazar ka dokha har pal , dil tootne ka zhankaar
tere nazar ya meri nazar , sabne yahan dhokha khaya

Kabhi kabhi ......
Har pal ek naya nazara , badalta zeewan hai darpan ka saya
har aks kahe ek nayi kahani , apni soorat kisne jaani
Jo main kahoon, khud ko khoya tune
jab payega tab aayega, yun na hasoo
Jahan tum ho wahan sab hai
dekho to ye duniya bhram hai
chalawa hai nazar ka har taraf
dil main ab bhi koi chor hai!!!!


Sapne hai hakikat nahin ... ye jeewan ab mere kaam ka nahin !!!
Ye zindagi choti pad rahi hai, har khusi ek gam de rahi rahi hai
Tujhe bhoolna muskil tha kal tak, aaj hamari jaan le rahi hai
Tum muskarete bhi nahin, hame yaad kar ke
Aur tere yaad main ye jaan ja rahi hai
Har pal ek yaad, har yaad ek zakhm ban raha
Teri tasvir ke aage ye dil dam tod raha
Har faisla hamara, ek tamasha ban gaya
Teri chahat ki ruswayi ab jeewan ban gaya
Bhool jayen tumhe , par kaise!!!!
Har bhoolte yaad ke saath ye jeewan mit raha
Tumhe khabar bhi nahin, aur koi mar raha
iss jaban par kabhi par gila na hoga
Tum muskarao, dua yehi hoga
Badlloon ke safar par ja rahe hain hum ,
tujhe ye zindagi Mubarak ho sanam :)