Tuesday, 18 December 2007

Kuch Khayal!!

Ab ye zindagi ek fasana na ban jaye,
humari mohabat ek afsana na ban jaye,
jo gujar rahe hain lamhe, wo yadeein na ban jaye,
ek tasvir ki tarah, ye zindagi na tham jaye.!!!!!

Friday, 14 December 2007

Kya ye pyar hai!!!

Tere chehre se hatti nahin hamari nazar,
Zuban bhi saath deti nahi tumhe dekh kar,
Yoon nazro ko jhuka kar gujar jaate hai hum,
jyoon dekhe hi nahin in rahhon par tum!!!!!

Ek nayi duniya bas rahi hai khwaboo main,
tere sapne saj rahe hai meri nighaoon main,
tum milo na milo, ab ye lamha to hamara hai,
in khusiyon par na kissi ka koi pehra hai!!!!!

Tum jaante bhi nahin, aur hum tumhare ho gaye,
ajab si kash ma kash main, meri duniya ulajh gayi!!!!!

Thursday, 6 December 2007

ye kaisi mohabbat....

Do roz main wo pyar ka aalam gujar gaya,
Barbad karne aaya tha, barbaad kar gaya!!!!

Maff kar dena agar, yaad na rakh paye tumhe umar bhar,
khamosh jabaan ke gehri jameeen par ,
Nishan rahenge tumhare kahin!!!!!

Teri mohabbat ke sadke, ye zindagi beet jayegi,

Wednesday, 5 December 2007

Laut Aao......

Laut aao ki shaam hone ko hai,
Ab ye dhadkan sone ko hai,
Beete hue lamhe fisal rahe hathoon se,
Ankhon ki nami bhi khone ko hai !!

Humara fasana afsana na ban jaye,
Dil ki chahat, nazroon ka dhokha na ban jaye,
khawab bikhar rahe moti ki tarah,
Laut aao ki ab aks bhi khone ko hai!!!!!