Tuesday, 4 March 2008

Sun Zaraaa !!!

Tutte hai khwaab, Bikhar gaye afsane .
Dhoondti bhi nhain aakhen, ab gujre hue Zamane,
Ab nayi hai manjileen, ek naya rasta …
Phir naye humsafar, ek naya karvaan ..
---------------------------------
Ek hakikat, Ek fasana,
Ek zindagi ..Ek Afsana.....
Ek kahani kai kirdaar ...
gujar gaye in palkoon se kai khwaab
----------------------------------------------
Laut kar aayenge hum, ek inteezar ke baad
Naye layenge hum, rang khwaab aur halaat
Muskurakar hi jeena hai jeevan ka safar
Gum ho ya khusi, yun hi hasenge hum…
---------------------------------------
Kuch yaddon ke sadke,
Ye lamhe beet rahen…
Badal rahi hai fijaaen,
Aur hum gum ho rahe…
Teri dosti , ye zindagi hamari…
Kahin ulajh gayi sapno se hakikat ki kahani!!!
--------------------------------------------
Bikhar kar joodna ek aadat si hai,
Zindagi main gum ibaadat si hai,
Aaj bhi khwaab tutne ki saddaa nahin aati,
In aankhon main ab nami nahin aati!!!
------------------------------------------
Zindagi Badhti gayi , hum kahin kho gaye..
Dondte rahe khwaab, manjil se judda ho gaye..
Har sabak zindagi ka, ek jhoot ban gaya.
Ek hi hai ab falzaffaa .. likhegne nayi ab Dastaan!!!
-------------------------------------------------------------
Mit kar joodna hi zindagi ki hakikat hai,
Shama par marna parwane ki fitrat hai ..
Muskra e yaar .. ki zindagi ke iss zue main …
Hamari bhi zaroorat hai !!!
----------------------------------------