Friday, 14 September 2007

By Rehan Baber!!!!!

Do lafz to nahin
ke maine kah diya
aur tumne sun liya
Koi shama hai kya
ke dekha bus
aur parwana chal diya
hawa bhi nahin
ke chali
aur sub kuch ur gaya
ahsas hai
magar koi ahsas sa nahin
choone jao to hath pahonchte nahin
aur rooh se kaise mahsoos karen
rooh bhi to ek guman hai bus
Haan hain rasta
kho jao pahonchne ke liye

parwana jub talak shama na huya
jalne ka samajho kuch maza na huya

aur kya kahoon
do lafz to nahin.........."

No comments: